Bachpan Lyrics
- Genre:Reggae
- Year of Release:2022
Lyrics
Baat ye purani mujhe tumko batani
Han ji meri ye kahani na hai sadiyo purani
Mere bachpan ki kahaani suno rap ki zubani
Pehle tha main bada shy Ab to aag hai lagaani
Mere bachpan ki kahaani na koi raaja na raani
Khela karte the ham kanche thodi ki bhi thi beimaani
Saari saari saari raatein dost krte shaitaani
Mujhko yaad aata bachpan kitni khush thi Zindgani
Na kuch paane ki aasha na khone ka darr
Bas apni hi dhun me magan ham aur
Kaash mil jaye mujhe wo bachpan ke din
Jab raatein meri guzre na yaaron tumre bin
Pehle tha main bada shy baat bhi na karta
Ladki ho ya ladka sabse doori hi rakhta
Jabse bada ho gya hoon ab log mujhe bole
Pehle tha jo gol gappa ab itna fast bole
Kaagaz ki kashti nadi ka kinara tha
Khelne ki masti aur dil ye awaara tha
Chungi, Gulli Danda Aur chor Sipahi
Aarif, Munna, Waaris Aur Asad mere Bhai
Baat ye purani mujhe tumko batani
Han ji meri ye kahani na hai sadiyo purani
Mere bachpan ki kahaani suno rap ki zubani
Pehle tha main bada shy Ab to aag hai lagaani
Tab to tha na koi kaam hardam karte manmaani
Ab to kaise guzre saal saali kaisi ye jawaani
Ab to saara din guzre ma baap ke bina
Pehle Amma Baba se hardam daant mujhko khani
Kyu chhutti Wale din bhi karar nahi aata
Wo bachpan wala ravivar nahi aata
Parivar ke bina duniya bhi lage suni
Kyu wo bachpan wala tyohaar nahi aata
Kuch haari takdeer kuch toot gaye sapne
Kuch gaye chhod ke kuch bhool gaye apne
Fir bhi koi shikwa nahi hai mujhe ab kisi se
Kyuki yahi taqdeer jo mujhe mili hai rab se
Baat ye purani mujhe tumko batani
Han ji meri ye kahani na hai sadiyo purani
Mere bachpan ki kahaani suno rap ki zubani
Pehle tha main bada shy Ab to aag hai lagaani
Tab to tha na koi kaam hardam karte manmaani
Ab to kaise guzre saal saali kaisi ye jawaani
Ab to saara din guzre ma baap ke bina
Pehle Amma Baba se hardam daant mujhko khani
Wo bachpan ki amiri bhi najane kahan kho
Gayi jab paani me hamare bhi jahaaz chla krte the