Dayar e Mustafa Dekhun Lyrics
- Genre:Light
- Year of Release:2022
Lyrics
Tammanna hai mere maula
Dayar e mustafa dekhun
Main kabe ka haseen manzar
Kabhi to ya khuda dekhun
Sunu labbaik ke nagme
Haram ki paak waadi me
Dar e khairul wara par
Aashiqon ka jhumna dekhun
Tammanna hai mere maula
Dayar e mustafa dekhun
Main kabe ka haseen manzar
Kabhi to ya khuda dekhun
Mazar e hazrat hamzah ko bhi
Dekhe meri ankhein
Dayar e aaisha dekhun
Mazar e fatima dekhun
Tammanna hai mere maula
Dayar e mustafa dekhun
Main kabe ka haseen manzar
Kabhi to ya khuda dekhun
Tere mehboob jis gumbad
Ke neeche jalwa farma hai
Hai jis par arsh bhi naazan
Main wo gumbad hara dekhun
Tammanna hai mere maula
Dayar e mustafa dekhun
Main kabe ka haseen manzar
Kabhi to ya khuda dekhun
Basar ho ya khuda kuch is
Tarha se zindagi meri
Sahar me kaaba dekhun
Shaam me gumbad hara dekhun
Tammanna hai mere maula
Dayar e mustafa dekhun
Main kabe ka haseen manzar
Kabhi to ya khuda dekhun
Jahan araam farma hai
Sahaba mere aaqa ke
Tammanna hai mere maula
Wo manzar badar ka dekhun
Tammanna hai mere maula
Dayar e mustafa dekhun
Main kabe ka haseen manzar
Kabhi to ya khuda dekhun
Main chumoo gumbad e khazra
Ki jis dam jaaliyan asim
Khuda se hai dua us dam
Jamal e mustafa dekhun
Tammanna hai mere maula
Dayar e mustafa dekhun
Main kabe ka haseen manzar
Kabhi to ya khuda dekhun