Sahara (Acoustic) Lyrics
- Genre:Acoustic
- Year of Release:2024
Lyrics
Adhure Mille Jo mukammal huway
Faslay Phir bhi musalsal rahay
Teri aur meri kahani juda thi to
Kyun ek dojay ko lazim rahay
Ye to na Mainny chaha
Ye bhi tune na chaha
Par kyun na Khud se kaha
Awara dil bechara
Urta hawaon mein
Teri dua ki Panahon mein
Dastak Teri sunne ko
Dar mera sadayen de
Tu hi rooh ha
Tu sukoon ha
Tu hi mera sabar ya
Shamil saza mein ha
Tu ha mera sahara
Sahil mein tu kinara
Tu ha mera sahara
Sahil mein tu kinara
Ghaibana sa ye alam huwa ha
Shairana jisne dil ko chuwa ha
Jahilana bin jane jo chaha
Qatilana si chali wo fazza ha
Mere log mere hunr se nawakif thay
Ham bhi aadatan ishq ke mukhalif thay
Kya ha reh gaya jo chin chuka ab kismat mein
Kai raaz hen ab bhi baki qudrat main
Tu na muyassar raha Phir bhi
Tu Han is dil main raha pal pal
To mil gayi hamko khushi
Jese dobte ko tinke ka mil jaye
Tu ha mera sahara
Sahil mein tu kinara
Tu ha mera sahara
Sahil mein tu kinara