Iss Dafa Nahin Lyrics
- Genre:Rock
- Year of Release:2024
Lyrics
Sab lagbhag theek hi hai
Lagbhag par guzara theek nahin
Haq tou hai tera bhi yahan
Bass mera hi naara theek nahin
Khuwaabon se ab aagay
Paar kerna ik darya bhi
Har rang bahaar banaata hai
Bas hara hi rang khara nahin!
Hum pal pal ki eenton se
Apnay liye aaj banaatay hein
Buniyaadein rakhtay jaatay hein
Kal ka samaaj banaatay hein
Jo hua so hua
Woh phir kaheen ho raha nahin?
Is dafa, iss dafa
Iss dafa nahin!!
Qol o feil se banta hai
Insaan bhi aur duniya bhi
Mein jo hoon, kitna theek hoon?
Mein hi tou kia bura nahin?
Ye ujaala dikhta hai saaye jaisa
Iss subhah ka taara theek nahin
Kab tak kamzor ko peeso ge?
Bas taaqatwar ka hi khudaa nahin
Hum pal pal ki eenton se
Apnay liye aaj banaatay hein
Buniyaadein rakhtay jaatay hein
Kal ka samaaj banaatay hein
Jo hua so hua
Woh phir kaheen ho raha nahin?
Is dafa, iss dafa
Iss dafa nahin!!