ilzaam. Lyrics
- Genre:Soul
- Year of Release:2023
Lyrics
Tha bhaata shayad teri galliyon ko mera aana
Bulaaye aksar mujhe wo tere bahaane
Main raaho'n pe aur hone ke khayaal se tere
Na pooch bechaini me kya dil dhadka hai
Inn raaho'n me bhatakne ka hoga an-jaam kya?
Dhundoon har parchhai me nishaan yahan
Kudrat ki adaao'n se suraag churaaun
Jo lejaaye mujhe tujh tak, kya pata?
Tu e - naam sa, mere khaabo'n ka
Tu khi-taab sa mere pagalpan ka
Jab zikar kiya tere naqaab ka
In fizzaao'n ka rukh hairaan tha
Jo di khaamoshiyan, dil me ghar kar gayi
Teri aahat ki ummeedein har pal rahi
Dil bechain sa, usme chain hi nahin
Mujhme hai iss qadar tu.. main, main hi nahin
Koi
Bataaye unhein dhunda maine jag saara
Ho, unhe dhunda maine jag saara
Nazaara miley khoob mujhe
Par unn sa koi nahin
Koi sheher me wapas, ye sabko pata hai
Main galliyon me teri, mera dil ghabraaye
Dhadakna ghabrahat me mujh ko sataye
Judi tujhse ho jo bhi dil dhun gun gunaaye
Safar ki ye
Bechaini karey zaahir unn sadko'n ko,
Wo hi jaane lad khadaate hue lavso'n ko
Khushiyo'n ke pal kyun kahaniyo'n me
Tikte har dam nahinnn
Jiss kadar tu, takkta hai taare, tere
Khaab kyaaaa? zara mujhko bata deeee
Arre, saam neeyyy tere, chaand kyaaa
Mera mann karey laake rakh dun aaina
Kya rahi thi kasar? mera tha imtehaan, kya?
Kiya inte-zaar, shaamein raatein hui
Kari taaro'n se baat, jiya gin gin saverey
Par shaamo'n me kabhi fir tu aai na
Mera tha kya kasoor? hai il-zaam kya?
Maine chaaha, aur chaaha bas.. itna kiya
Kya galat fehmi thi?
Kya ye dastoor tha?
Kya thi majbooriyan?
Ya, sab tune chuna?
Teri
Nazdeekiyan hain chehre ka noor mere
Sateh main samandar ka, tu chaand saa
Hain dil me jo shaamein, unka tu pata
Tera naam lun, dhadkan asar de dikha
Main gul hun, inn gamlo'n, inn gul-daano'n ka
Jab chaaha aur aayi wo barsaat na
Main chupke se kone me murjha gaya
Wo chaahe par, .... main, .... khil na saka
Tu meri khoobi ban gayi, meri kyun ni ban gayi (xN)
Mera teri galliyo'n me aana
Bhaaye teri galliyo'n ko zyada tujhse
Bulaaye aksar mujhko
Tere bahaane