Parchhaiyaan Lyrics
- Genre:Pop
- Year of Release:2022
Lyrics
Thodi si baatein hai baaki abhi
Thodi udaasi hai baaki abhi
Saanson mein baaki hai hosla
Thodi si saansein hai baaki abhi
Bheegi palkon pe thehre paani ki
Beh lene do rawaaniyaan
Meri aankhon ko apni aankhon se
Keh lene do kahaaniyaan
Khoye ho tum jaane kahaan
Dhoondhti hai parchhaaiyan
Naraaz ho najaane kyu
Poochhti hai parchhaiyan
Dabi dabi si khwaahisho
Ki arziyaan zara suno
Tum bhi ye kehti hai kya
Jhuki jhuki hui nazar tumhari
ki wajah toh samjo na
Yeh chahti hai kya
Yeh dooriyon ki saazishe
Bhi rokne se na ruke
Ab toh yeh hai silsila
Mera bina tumhare aur
Tumhara bin mere
Yun ab rehna hai mushkil hua
Roko na khud ko
Meri yaadon se
Kuchh rehne do
Nishaaniyaan
Meri aankhon ko
Apni aankhon se
Keh lene do
Kahaaniyaan
Khoye ho tum jaane kahaan
Dhoondhti hai parchhaaiyan
Naraaz ho najaane kyu
Poochhti hai parchhaiyan
Khoye ho tum jaane kahaan
Dhoondhti hai parchhaaiyan
Naraaz ho najaane kyu
Poochhti hai parchhaiyan
Mera tumhara raasta
Pehle nahi tha yun juda
Mera tumhara raasta
Phirse milega hai sada